Vikas ne aise "bye" bola jaise kuchh chhin sa raha ho. Aisa jaise koi mujhse kuchh aisi chize le ja raha ho ho mera sabse pyara hai. Ek insaan, jo mujhse itna pyar karta hai ke aur kuchh sochta hi nahi. Aur ek insaan, jiske pyar me shayad main aaj bhi pagal si hun. Zindegi fir se dohrahe par aakar khari ho gayi. Aaj shayad sab kuch hai mere pass, par wo zindegi kahan jo mujhe chahiye?
Pyar karna aur pyar nibhana, do alag chizen hain. Shayad dono me se ek bhi main kar na pai. Aaj mujhe pata hai pyar nibhana kehte kisko hain. Par mujhse nahi hota. Maine to sirf apne aap se pyar kiya hai. Aur is bich, pata nahi kitno ka dil tora hai.
Office se aakar ekhi maksad bachta hai. Online ana. Fir us insaan se ghanton baatein karna jiske saath pata nahi mera rishta kya hai. Jo yeh wishwas karta ho ke yeh pyar hai, par hum saath nahi rah sakte. Fir bhi, har ek kadam par saath dene ki kasam khata hai. Pure din ki ek ek baatein mujhe batana jiska adat hai.
Par kya aaj bhi kahin yeh dar hai ke aisa mere saath pehli baar to nahi ho raha.

No comments:
Post a Comment